الحمد للّٰه الذي نورعيون المسلمين بنورعين اعيان المرسلين، والصّلاة والسلام علي نورالعيون سرورالقلب المحزون محمد نالرفيع ذكره في الصلاة والاذان، والجيب اسمه عند اھل الايمان، وعلى اٰله وصحبه والمشروحة صدورھم لجلال اسراره والمفتوحة عيونھم بجمال انواره، واشھد ان لاالٰه الا اللّٰه وحده لاشريك له، وان محمّدا عبده ورسوله بالھدى ودين الحق ارسله صلى اللّٰه تعالٰى عليه وعلٰى اٰله وصحبه اجمعين، وعلينا معھم وبھم ولھم يا ارحم الراحمين اٰمين
Attached is the recitation to the recent Urdu Na’atiyah Kalaam of Sayyidi Taaj al-Shariah Mufti MuHammad Akhtar Rida al-Qadiri Hafidhahullahu Ta’ala that he dictated to Mawlana Ashiq Hussain Kashmiri on their way to Dubai from Delhi. Dated: 8th Safar al-Muzaffar 1432H / 12th January 2011
Kuch aisa karday meray Kirdigar Aankhon Mein
Ke jalwagar rahay woh Gul Ezaar Aankhon Mein
Wo lala rukh ho agar jalwa baar Aankhon Mein
Bahaar-e-Lala ho phir paayedaar aankhno mai
Nazar yeh kehti hai be Ikhtiyaar Aankhon Mein
Inhain jo dekhain wohi hai hazaar Aankhon Mein
Inhain na dekha tou kis kaam ki hai ye Aankhien
Ke dekhnay ki hay saari bahaar Aankhon Mein
Abhi ho Rookash-e-Arsh-e-Bareen nazar mein
Jo aaey Arsh Nasheen Taajdaar Aankhon Mein
Nazar hai Rashk-e-Nazar Iftikhaar Aankhon Mein
Jisay karay wo Nazar Ikhiyaar Aankhon Mein
Bana’en dil ko wo ghar rah guzaar Aankhon Mein
Nazar ho kadmon pe inkay nisaar Aankhon Mein
Basay hain jab se Madinay ke khaar Aankhon Mein
Hua hai Sehn-e-Chaman khaar zaar Aankhon Mein
Guzar ho inka kabhi be-Qaraar Aankhon Mein
Guhar hon Nazr-e-Qadam ashk baar Aankhon Mein
Khich aaee Jaan paey Intezaar Aankhon Mein
Karam se lijiye ab tou Qaraar Aankhon Mein
Karam se Jalwa karay jab nigaar Aankhon Mein
Khich aaey saari chaman ki bahaar Aankhon Mein
Phir aayen din meray AKHTAR Shab-e-Huzoori mein
Karam se jalwa Karay jab Nigaar Aankhon Mein
Nighah-e-Mufti-e-Aazam ki hai ye Jalwagari
Chamak raha hay jo AKHTAR hazaar Aankhon Mein
—
Karam ye Akhtar-e-Noori ka hay Gulaamon par
Dayaar-e-Noor ki Chaaee Bahar Aankhon Mein
—
Listen and Read it in Urdu
Mp3 Audio | Urdu Text